Categories
Inspirational random Tahreem Writes urdu

Haar Jeet, Tamasha E zindagi…

Zindagi ka kam hai chalna… Kisi k ruk jane se waqt nhi rukta. Or ye bhi Allah ka karam hi hai. Agar insano k hath me hota to khud ko khushiyon k jhooley me bitha k bhool jatey. Ya waqt parne pr kisi pr bhi gham ka mosam thehra detey k wo doob kr ubhar na skey… Agarchey log hath me na hote huey bhi ye krne ki bisaat bhar koshish zaroor krte hain. Pr Allah bacha leta hai. Ya phir waqt ko marham bna k zakham bharne ka kam sonp denta hai. Youn waqt kisi k lye nhi rukta…

image

Magar jinko ezat, or mohabbat de k koi rishta Istewaar kya jaye.. Wo kbhi esa kuch krjayen, jo dil cheer jaye, to dil me chubhi phaans pori zindagi nhi nikalti. Or hum itni ezat, qadar mohabbat de chukey hote hain k zakham kha kr bhi, unka sar jhuka daikhne ki kbhi chaah nhi hoti. Wo jeet kr khush hain, to bawajood teason k, wo khush hi sahi… Or khud haar kr bhi, khamosh rehna behtar lgta hai. Clearifications hoti hain, par dene ka dil nhi chahta… Laakh bholne ki koshish kro, kasak nhi jaati… Jin k lye hamesha duayen nikalti hon dil se, un k zikar pr muskurahat salb hoti hai. Lab khamosh rehte hain. Kai sarey dard yak dam hi sar uthatey hain.

Nafrat kbhi nhi hoskti, me nhi manti.. Inteqam tak wohi pohanchte hain jinko mohabat nhi hoti sirf guman hota hai.. Mohabbat krne waley to taklif daikh hi nhi patey, dosre ki khushi me khush rehte hain. Laa, yani nothingness me jeete hain. Laa se hi ishq shru hota hai.. Hasil se nhi.. Tabhi Haar jeet k isi Tamasha e zindagi me samjhote se rehte hain. Farq nhi parta phir kuch… Zindagi guzar jati hai

(STF)

By Tahreem Umar

Every story i create, creates me. I write to create myself.

9 replies on “Haar Jeet, Tamasha E zindagi…”

Main aap k alfaaz k saath 100% mutafiq hoon…la main jeena hi mohabat ka amar hai magar…la saza ka nahi sabaq ka naam hai..seekho aur apnay dard ko apna humnasheen aur humqadam bna lo kion k yeh zakhm purana hona pa khud ko kuredta hai aur har baar apni gehrai brhata jata hai jub tak k insaan apna gala ghoont k mar nahin jaata….

Like

Leave a comment