Categories
Hikayat E Zindagi Tahreem Writes

Khamoshi

Hope u read it till end

Kbhi kbhi boht acha bolne walon ko bhi khamoshi khubsurat lagne lgti hai. Sukoon deti hai. Rag rag me lahoo bn k bikharti hai. 

Surkh Khamoshi

Kisi bache k mehw e khuwab hone pr wo dar o dewar se lipat’ti hui c..

Masoom khamosi

Kbhi dua k lye uthey haathon or band labon se ada hoti, bheegi hui 

Pakiza Khamoshi

Kbhi bhook se bilakte, or sardi se thitarte huy kisi khuddaar o ana parast ki

Sisakti Khamoshi

Kisi tareek amawas ki rat k ikhtetaam pr suraj k sath tulu hoti hui

Sunheri Khamoshi

Kbhi Bnd ankhon se, thehre huy dil k sath mathey pr bosey ka lams mehsoos krti hui

Muqadas Khamoshi..

Me lafz jorti nhi, bunti hon. Maala me piroti hon, mere alfaz mera sarmaya hain. Phir b kbhi younhi narm bister pr laitey huy, taaron bharey asman or kisi naagwar bojh se mehfooz , mjhe achi lgti hai ye

Azaaad Khamoshi…!

By Tahreem Umar

Every story i create, creates me. I write to create myself.

11 replies on “Khamoshi”

Leave a comment